Kaandhon se zindagi ko utarne nahin diya
Us mot ne kabhi mujhe marne nahin diya.
Poochha tha aaj mere tabassum nein ek sawal
Koi jawab deed-a-ye tar nein nahin diya.
Tujh tak mein apne ap se hiokar guzar gaya
Rasta jo teri rah guzar nein nahin diya.
Ratein mutaliba karein aakhir kahan talak
Ab tak hisab sham-o- sahar nein nahin diya.
Kitna ajeeb mera bikharna hai doston
Maine kabhi bhi khud ko bikharnein nahin diya.
Hai imtehan kon sa sehra-ey zindagi
Ab tak jo tere khak basar nein nahin diya.
Yaron AMEER IMAM bhi ek aftab tha
Par usko teeragi nein ubharnein nahin diya.