Kaandhon se zindagi ko utarne nahin diya
Us mot ne kabhi mujhe marne nahin diya.
Poochha tha aaj mere tabassum nein ek sawal
Koi jawab deed-a-ye tar nein nahin diya.
Tujh tak mein apne ap se hiokar guzar gaya
Rasta jo teri rah guzar nein nahin diya.
Ratein mutaliba karein aakhir kahan talak
Ab tak hisab sham-o- sahar nein nahin diya.
Kitna ajeeb mera bikharna hai doston
Maine kabhi bhi khud ko bikharnein nahin diya.
Hai imtehan kon sa sehra-ey zindagi
Ab tak jo tere khak basar nein nahin diya.
Yaron AMEER IMAM bhi ek aftab tha
Par usko teeragi nein ubharnein nahin diya.
September Alerts and August Trends 2022
2 years ago
5 comments:
Maante hai adda- visit
www.khalidmusanna.wordpress.com
Waah roofi bhai waah...jawab nahin aapka.....really great...All my best wishes..
very good ........kya baat hai
ameer bhai kahan hain aap.....called u several times....mail me on jasimalik@gmail.com or call me 09906844476
ur brother from kashmir.....met u in AMU...remember?
Post a Comment