Wednesday, December 24, 2008

Mazeed ek bar par bar-i- garan rakhkha gaya hai.
Zamein par jo musallat aasman rakhkha gaya hai.

Kabhi too cheekh kar aawaz de to jan jaun
Mere zindan mein tujhko kahan rakhkha gaya hai?

Hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein
Bhatakti khushbuoon ko be amaan rakha gaya hai.

Meri neendon mein rehti hai sada tashna dahani
Mere khwabon mein ek dariya rawaan rakhkha gaya hai.

Magar yeh dil bahalta hi nahin, go iske aage
tumhare bad yeh sara jahaan rajhkha gaya hai.

1 comment:

Unknown said...

wah....sahab kya kehane....