Monday, December 22, 2008

Lahoo mein jaise sharare uthaye phirte hain.
Us ek badan ke nazare uthaye phirte hain.

Sada se jitne hain bazar-i- ishq ke gahak
Saron pe apne khasare uthaye phirte hain.

Gham-i-jahaan hai bahut phir bhi natawani mein
Tere ghamon ke sahare uthaye phirte hain.

Juloos-i-fat'ha mein farzandagan-i- teera shabi
Sinan pe chand sitare uthaye phirte hain.

Yaqeen aisa bhanwar jiski koi thah nahin
Magar guman kinare uthaye phirte hain.

"Ameer Imam" ke ashaar apni palkon par
Tamam hijr ke mare uthaye phirte hain.